Surprise Me!

Ism e Zaat Allah Ko Dil Mein Basany Ka Tarika | FH Offical

2025-03-29 3 Dailymotion

Yeh video Ism e zaat allah ko dil mein basany ka tarika k bare mein hai.murshid e pak Syedna Gohar Shahi madazila ul aali ki talbeen e haq k sath rohani nishist.jis mein apne ism e zaat allah ki fazilat ko bayan karty huy irshad furmaya k “jis tara teri nazar chumakty huy sitaro par parti hai,isi tara allah chumkaty huy dilo ko dekhta hai.ism e zaat allah se aik din aesa aata hai k insan ka zahir o batin dono pak o saf ho jaty hain.jab yeh ism e zaat insan k andar jata hai to gunahon k jaraseem bahir aatay hain.ism e zaat allah ka noor aik din nafs ko b pak kar daita hai.jab dil mein ism e zaat allah bas jata hai to phir us k noor k zareye namaz arsh par jati hai.ism e zaat allah aik aesi azeem doulat hai k is ka zikr karny wala kabi na kam nahin hota.phir apne is ko dil mein basany ka tarika b bayan furmaya k aik white paper par black pancil se 66 martaba Allah Hoo likho.time ho to din mein 5/7 bar likho lekin jab b likho 66 martaba hi likho.yeh aik amal ban jaey ga.ap kuch hi din likhain gai to aik din yeh apki aankhon k samny terna shuru kar dai ga.jab aankhon mein aa jaey to phir likhna band kar dain.tasawer se tawaja se us ko apne dil par utarny ki koshish karian.allah ne chacha to jo ap parer par likhty thy woh ap k dil par likha nazar aa jaey ga.us waqt ap k dil ki dharkan taiz ho jaey gi,tik tik tik.phir us tik tik k sath allah hoo milain,aik dharkan k sath allah aur dousri dharkan k sath hoo.bar bar aesa Karin gai to dil ki tik tik Allah Hoo mein tabdeel ho jaey gi.yeh hai ism e zaat allah ko dil mein basany ka tarika.

Buy Now on CodeCanyon